Friday, 9 March 2012

abaad huin isharat gahain veeran masajid roti hain
taari hai fizaa par mosseqi pamaal azaanain hoti hian
barbaad khizan hai mustaqbil, maazi ki bahahrain soti hain
phoolon k bajay kanton par shabnam k shikasta moti hain
yeh waq -e- amal kirdar ay shar , kia dast dua phelata hun

kehnay ko musalman main bhi hun lekin kehtay sharmata hun

taaif main muqaddas khoon tapka, makkay main kabhi patharr khaye!!!
bas aik tarap thi, kesi tarap??, insaan hidayat pa jaye
har gham ko laga kar seenay se darmaan k tareeqay sikhlaye
kia qahar hai yeh inssan usi mohsin ko bhula kar kho jaye!!!
uff kitnay gunahon k sadqay deen ki bunyaden dhata hun

kehnay ko musalman main bhi hun lekin kehtay sharmata hun

baatil ki bhayanak saazish main, shetaan ki zallim ghaaton main 
islam hu tukray tukray , firqon main, jathon main, zaaton main
main meethi neendain sota hun is mout ki kaali raaton main 
khud apnay lahoo ka paymana raqsan hun uthaay haathon main
mahool ki rag rag main apna napaak laho dorata hun

kehnay ko musalman main bhi hun lekin kehtay sharmata hun

yeh barf si khamooshi main magar aik dard bahri awaz hai kia ??
mizraab e  ajam nay cher dia phir deen-e- arab ka saa hai kia ??
baatil k muqabil ubharay hain phir se jo musalman- raz hai kia ??
kia khatam hui taghooti shab, subh-e-nau ka agahaz hai kya
sunta hun kahin se baange dara, uthtay hain qadam ruk jata hun

kehnay ko musalman main bhi hun lekin kehtay sharmata hun

kehnay ko musalman main bhi hun lekin kehtay sharmata hun